Matin Niazi

aadmi aur dard se na-ashna mumkin nahin

Matin Niazi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1913
aadmī aur dard se nā-āshnā mumkin nahīñ
aks se ḳhālī ho koī ā.īna mumkin nahīñ
aadmī insān-e-kāmil ban to saktā hai magar
zindagī bhar rah sake vo pārsā mumkin nahīñ
do kināre jaise dariyā ke nahīñ milte kabhī
ham se iqdām-e-jafā un se vafā! mumkin nahīñ
kār-farmā jab rahe barq-e-nazar āThoñ pahar
shahr bhar meñ ho na koī hādsa! mumkin nahīñ
kis qadar himmat-shikan hai gumrahī kā ye javāz
rahbarī az-ibtidā tā-intihā mumkin nahīñ
shīsha koī chuur ho jaa.e to phir kis kaam kā
miT ke ho ābād aivān-e-vafā mumkin nahīñ
aap patthar ko nichoḌeñ is se kyā hāsil 'matīn'
tañg-dil insān ho haq-āshnā mumkin nahīñ
Top Urdushayar.com