Matin Niazi

taghayyuraat se kab rabt-e-gulsitan na raha

Matin Niazi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1913
taġhayyurāt se kab rabt-e-gulsitāñ na rahā
bahār aa.ī to kyā ḳhatra-e-ḳhizāñ na rahā
jabīñ jhukā.ī to jannat ḳharīd lī jaise
samajh rahe haiñ ki ab koī imtihāñ na rahā
fazā meñ guuñj rahī haiñ kahāniyāñ ġham kī
hamīñ ko hausla-e-sharh-e-dāstāñ na rahā
unheñ to hashr meñ bhī hai ḳhayāl-e-rusvā.ī
hameñ ḳhushī hai koī parda darmiyāñ na rahā
ġham-e-ma.āl ġham-e-zindagī ġham-e-daurāñ
hamāre ishq kā charchā kahāñ kahāñ na rahā
havā palaTte hī har zaḳhm ho gayā taaza
bahār-e-ishq ko andesha-e-ḳhizāñ na rahā
'matīn' qadr huī aah kab nasheman kī
chaman meñ barq ke laa.eq jab āshiyāñ na rahā
Top Urdushayar.com