Matin Niazi

KHulus-e-tamir ho jo shamil sitam ka jazba bura nahin hai

Matin Niazi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1913
ḳhulūs-e-ta.amīr ho jo shāmil sitam kā jazba burā nahīñ hai
vafā kareñge vo kyā kisī se jinheñ shu.ūr-e-jafā nahīñ hai
tirī samajh meñ na aa sakegī kisī ke ashkoñ kī qadr-o-qīmat
abhī hai nā-āshnā-e-ġham tū abhī tirā dil dukhā nahīñ hai
vafā kī azmat se āshnā haiñ kaheñ to rūdād-e-ġham kaheñ kyā
tujhe nadāmat ho jis ko sun kar vo dāstān-e-vafā nahīñ hai
ḳhudā-na-karda tumhāre dil ko koī dukhā.e to kyā karoge
nigāheñ tum ne to aisī pherīñ ki jaise merā ḳhudā nahīñ hai
vo khoyā khoyā sā un kā aalam laboñ pe halkī sī muskurāhaT
adā ye un kī 'matīn' jaise sunā bhī hai aur sunā nahīñ hai
Top Urdushayar.com