Sabir Zafar

kis karan itne rangon se yari kis karan ye Dhang

Sabir Zafar

1949
kis kāran itne rañgoñ se yaarī kis kāran ye Dhañg
jitne rañg bhī chāho ziist meñ bhar lo maut kā ek hī rañg
nām-o-numūd se itnī duurī Thiik hai lekin āḳhir kyuuñ
saare jahāñ se qaus-e-quzah kā rishta apne aap se jañg
pal meñ dhajjī dhajjī bikharne vaalī aisī hai ye ziist
ik se ziyāda bachchoñ ke hāthoñ meñ jaise kaTī patañg
umr bitā dī apnoñ aur ġhairoñ ke naqsh banāne meñ
jab apnī tasvīr banānā chāhī phīke paḌ ga.e rañg
maiñ ik likhne vaalā mujh ko batānā yaar ahmad-'parvez'
lauh-o-qalam se aage bhī hai kyā ye duniyā itnī tañg
Top Urdushayar.com