Aasi Ghazipuri

hirs daulat ki na izz o jah ki

Aasi Ghazipuri

Sikandrabad, Uttar pradesh, India

1834-1917
hirs daulat kī na izz o jaah kī
bas tamannā hai dil-e-āgāh kī
dard-e-dil kitnā pasand aayā use
maiñ ne jab kī aah us ne vaah kī
khiñch ga.e kan.āñ se yūsuf misr ko
pūchhiye hazrat se quvvat chaah kī
bas sulūk us kā hai manzil us kī hai
us ke dil tak jis ne apnī raah kī
vā.izo kaisā butoñ kā ghūrnā
kuchh ḳhabar hai summa-vajhul-lāh kī
yaad aa.ī tāq-e-bait-ul-lāh meñ
bait-e-abrū us but-e-dil-ḳhvāh kī
rāh-e-haq kī hai agar 'āsī' talāsh
ḳhāk-e-rah ho mard-e-haq-āgāh kī
Top Urdushayar.com