Aasi Ghazipuri

ek jalwe ki hawas wo dam-e-rehlat bhi nahin

Aasi Ghazipuri

Sikandrabad, Uttar pradesh, India

1834-1917
ek jalve kī havas vo dam-e-rehlat bhī nahīñ
kuchh mohabbat nahīñ zālim to muravvat bhī nahīñ
us ke kūche meñ kahāñ kashmakash bīm-o-rajā
ḳhauf-e-dozaḳh bhī nahīñ ḳhvāhish-e-jannat bhī nahīñ
zauq-e-mastī kī mazammat na kar itnī ai shaiḳh
kyā tujhe nashsha-e-zauq-e-mai-e-ulfat bhī nahīñ
be-niyāzī bhī uThā luuñ maiñ tire naaz kī tarah
kyā vo tāqat na rahī mujh meñ to himmat bhī nahīñ
kis tarah kahiye ki dīdār dikhāyā us ne
bāġh-e-jannat bhī nahīñ roz-e-qayāmat bhī nahīñ
zohd-o-taqvā o islāh-e-dar-husn-e-amal
kuchh nahīñ mujh meñ magar kyā tirī rahmat bhī nahīñ
jazb-e-kāmil se use khīñch lo ai hazrat-e-dil
kaise darvesh ho kuchh tum meñ karāmat bhī nahīñ
kabhī 'āsī' se ham-āġhosh na dekhā tujh ko
asar-e-jazba-e-dil ahl-e-mohabbat bhī nahīñ
Top Urdushayar.com