Aasi Ghazipuri

na mere dil na jigar par na dida-e-tar par

Aasi Ghazipuri

Sikandrabad, Uttar pradesh, India

1834-1917
na mere dil na jigar par na dīda-e-tar par
karam kare vo nishān-e-qadam to patthar par
tumhāre husn kī tasvīr koī kyā khīñche
nazar Thahartī nahīñ āriz-e-munavvar par
kisī ne lī rah-e-ka.aba koī gayā sū-e-dair
paḌe rahe tire bande magar tire dar par
gunāhgār huuñ maiñ vā.izo tumheñ kyā fikr
mirā muāmla chhoḌo shafī-e-mahshar par
un abaruoñ se kaho kushtanī meñ jaan bhī hai
isī ke vāste ḳhanjar khiñchā hai ḳhanjar par
pilā de aaj ki marte haiñ riñd ai saaqī
zarūr kyā ki ye jalsa ho hauz-e-kausar par
salāhiyat bhī to paidā kar ai dil-e-muztar
paḌā hai naqsh-e-kaf-e-pā-e-yār patthar par
vafūr-e-josh-e-ziyā aur un ke dāñtoñ kā
habāb-e-gumbad-e-gardūñ hai āb-e-gauhar par
aḳhīr vaqt hai 'āsī' chalo madīne ko
nisār ho ke maro turbat-e-payambar par
Top Urdushayar.com