ravish us chaal meñ talvār kī hai
maut ushshāq-e-gunahgār kī hai
gul o gulshan se kabhī jī na lagā.e
ye sadā murġh-e-giraftār kī hai
rashk-e-gulshan ho ilāhī ye qafas
ye sadā murġh-e-giraftār kī hai
nik.hat-e-gul na sabā bhī laa.ī
ye sadā murġh-e-giraftār kī hai
aa ke be-parda mileñ vo dam-e-naz.a
ye duā āshiq-e-bīmār kī hai
pesh-e-mehrāb na kyuuñ sajde hoñ
sūrat us abru-e-ḳhamdār kī hai
chaal vo chal ki na ho mahshar-ḳhez
ye ravish charḳh-e-jafākār kī hai
mujh ko hañgāma-e-mahshar se ġharaz
bas tamannā tire dīdār kī hai
talab-e-rāh-e-ḳhudā meñ lekin
pairvī haidar-e-karrār kī hai