Aasi Ghazipuri

zaKHm-e-dil hum dikha nahin sakte

Aasi Ghazipuri

Sikandrabad, Uttar pradesh, India

1834-1917
zaḳhm-e-dil ham dikhā nahīñ sakte
dil kisī kā dukhā nahīñ sakte
vo yahāñ tak jo aa nahīñ sakte
kyā mujhe bhī bulā nahīñ sakte
vaada bhī hai to hai qayāmat kā
jis ko ham aazmā nahīñ sakte
aap bhī bahr-e-ashk haiñ goyā
aag dil kī bujhā nahīñ sakte
un se ummīd-e-vasl ai tauba
vo to sūrat dikhā nahīñ sakte
un ko ghūñghaT uThāne meñ kyā uzr
hosh meñ ham jo aa nahīñ sakte
māñgte maut kī duā lekin
haath dil se uThā nahīñ sakte
un ko dāvā-e-yūsufī 'āsī'
ḳhvāb meñ bhī jo aa nahīñ sakte
Top Urdushayar.com