itnā to jānte haiñ ki āshiq fanā huā
aur us se aage baḌh ke ḳhudā jaane kyā huā
shān-e-karam thī ye bhī agar vo judā huā
kyā mehnat-e-talab meñ na hāsil mazā huā
maiñ aur kū-e-ishq mire aur ye nasīb
zauq-e-fanā ḳhizar kī tarah rahnumā huā
pahchāntā vo ab nahīñ dushman ko dost se
kis qaid se asīr-e-mohabbat rihā huā
shāyān-e-darguzar hai agar iztirār meñ
jurm-e-darāz-dasti-e-zauq-e-duā huā
kyā kyā na us ne puure kiye mudda.ā-e-dil
lekin pasand use dil-e-be-mudda.ā huā
us kā pata kisī se na pūchho baḌhe chalo
fitna kisī galī meñ to hogā uThā huā
gul-rūyoñ ke ḳhayāl ne gulshan banā diyā
siina kabhī madīna kabhī karbalā huā
pechīda thī jo sar meñ havā-e-razā-e-dost
'āsī' murīd-e-silsila-e-murtazā huā