usī ke jalve the lekin visāl-e-yār na thā
maiñ us ke vāste kis vaqt be-qarār na thā
koī jahān meñ kyā aur tarah-dār na thā
tirī tarah mujhe dil par to iḳhtiyār na thā
ḳhirām jalve ke naqsh-e-qadam the lāla-o-gul
kuchh aur us ke sivā mausam-e-bahār na thā
vo kaun nāla-e-dil thā qafas meñ ai sayyād
ki misl-e-tīr-e-nazar āsmāñ shikār na thā
ġhalat hai hukm-e-jahannam kise huā hogā
ki mujh se baḌh ke to koī gunāhgār na thā
vafūr-e-be-ḳhudī-e-bazm-e-mai na pūchho raat
koī ba-juz nigah-e-yār hoshiyār na thā
lahad ko khol ke dekho to ab kafan bhī nahīñ
koī libās na thā jo ki musta.ār na thā
to mahv-e-gul-ban-o-gulzār ho gayā 'āsī'
tirī nazar meñ jamāl-e-ḳhayāl-e-yār na thā