phir mizāj us rind kā kyūñkar mile
jis ko us ke haath se sāġhar mile
ye bhī milnā hai ki bād-az-sad-talāsh
hadd-e-vahm-o-fahm se bāhar mile
kuchh na pūchho kaisī nafrat ham se hai
ham haiñ jab tak vo hameñ kyūñkar mile
merī āñkheñ aur us kī ḳhāk-e-pā
tere kūche kā agar rahbar mile
vasl hai sar-josh-e-sahbā-e-fanā
phir agar koī mile kyūñkar mile
milne ke pahle fanā honā zarūr
phir fanā jo ho gayā kyūñkar mile
'āsī'-e-giryāñ milā mahbūb se
gul se shabnam jis tarah ro kar mile