kuchh kahūñ kahnā jo merā kījiye
chāhne vaale ko chāhā kījiye
hausla teġh-e-jafā kā rah na jaa.e
aa.iye ḳhūn-e-tamannā kījiye
fitna-e-roz-e-qayāmat hai vo chaal
aaj vo aate haiñ dekhā kījiye
kis ko dekhā un kī sūrat dekh kar
jī meñ aatā hai ki sajda kījiye
fitne sab barpā kiye haiñ husn ne
merī ulfat ko na rusvā kījiye
hūr-e-jannat un se kuchh baḌh kar sahī
ek dil kyā kyā tamannā kījiye
kar diyā hairat ne mujh ko aa.ina
be-takalluf muñh dikhāyā kījiye
josh meñ aa jaa.e rahmat kī tarah
ek ik qatre ko dariyā kījiye
naam agar darkār hai misl-e-nagīñ
ek ghar meñ jam ke baiThā kījiye
mil chuke ab milne vaale ḳhaak ke
qabr par jā jā ke royā kījiye
kaun thā kal bā.is-e-be-pardagī
aap mujh se aaj parda kījiye
kal kī bātoñ meñ to kuchh narmī sī hai
aaj phir qāsid ravānā kījiye
raah takte takte 'āsī' chal basā
kyuuñ kisī se aap vaadā kījiye