tāb-e-dīdār jū laa.e mujhe vo dil denā
muñh qayāmat meñ dikhā sakne ke qābil denā
nā-tavānoñ ke sahāre ko hai ye bhī kaafī
dāman-e-lutf ġhubār-e-pas-e-mahmil denā
zauq meñ sūrat-e-mauj aa ke fanā ho jā.ūñ
koī bosa to bhalā ai lab-e-sāhil denā
haa.e re haa.e tirī uqda-kushā.ī ke maze
tū hī khole jise vo uqda-e-mushkil denā
ek fitna hai qayāmat meñ bahār-e-firdaus
juz tire kuchh bhī na chāhe mujhe vo dil denā
dard kā koī mahal hī nahīñ jab dal ke sivā
mujh ko har uzv ke badle hama-tan dil denā