vahāñ pahuñch ke ye kahnā sabā salām ke baad
ki tere naam kī raT hai ḳhudā ke naam ke baad
vahāñ bhī vāda-e-dīdār is tarah Taalā
ki ḳhaas log talab hoñge bār-e-ām ke baad
gunāhgār kī sun lo to saaf saaf ye hai
ki lutf-e-rahm-o-karam kyā phir intiqām ke baad
talab tamām ho matlūb kī agar had ho
lagā huā hai yahāñ kuuch har maqām ke baad
vo ḳhat vo chehra vo zulf-e-siyāh to dekho
ki shaam sub.h ke baad aa.e sub.h shaam ke baad
payām-bar ko ravāna kiyā to rashk aayā
na ham-kalām ho us se mire kalām ke baad
abhī to dekhte haiñ zarf bāda-ḳhvāroñ kā
subū o ḳhum kī bhī Thahregī daur-e-jām ke baad
ilāhī 'āsī'-e-betāb kis se chhūTā hai
ki ḳhat meñ roz-e-qayāmat likhā hai naam ke baad