Aasi Ghazipuri

qatra wahi ki ru-kash-e-dariya kahen jise

Aasi Ghazipuri

Sikandrabad, Uttar pradesh, India

1834-1917
qatra vahī ki rū-kash-e-dariyā kaheñ jise
ya.anī vo maiñ hī kyuuñ na huuñ tujh sā kaheñ jise
vo ik nigāh ai dil-e-mushtāq is taraf
āshob-gāh-e-hashr-e-tamanā kaheñ jise
bīmār-e-ġham kī chāragarī kuchh zarūr hai
vo dard dil meñ de ki masīhā kaheñ jise
ai husn-e-jalva-e-ruḳh-e-jānāñ kabhī kabhī
taskīn-e-chashm-e-shauq-e-nazārā kaheñ jise
is zo.af meñ tahammul-e-harf-o-sadā kahāñ
haañ baat vo kahūñ ki na kahnā kaheñ jise
ye baḳhshish apne banda-e-nāchīz ke liye
thoḌī sī pūñjī aisī ki duniyā kaheñ jise
ham-bazm ho raqīb to kyūñ-kar na chheḌiye
āhañg-e-sāz-e-dard ki naalā kaheñ jise
paimāna-e-nigāh se āḳhir chhalak gayā
sar josh-e-zauq-e-vasl-e-tamannā kaheñ jise
'āsī' jo gul se gaal kisī ke hue to kyā
ma.ashūq vo ki sab se nirālā kaheñ jise
Top Urdushayar.com