Aasi Ghazipuri

tere kuche ka rahnuma chahta hun

Aasi Ghazipuri

Sikandrabad, Uttar pradesh, India

1834-1917
tire kūche kā rahnumā chāhtā huuñ
magar ġhair kā naqsh-e-pā chāhtā huuñ
jahāñ tak ho tujh se jafā chāhtā huuñ
ki maiñ imtihān-e-vafā chāhtā huuñ
ḳhudā se tirā chāhnā chāhtā huuñ
merā chāhnā dekh kyā chāhtā huuñ
kahāñ rañg-e-vahdat kahāñ zauq-e-vaslat
maiñ apne ko tujh se judā chāhtā huuñ
barābar rahī hadd-e-yār-o-mohabbat
kisī ko maiñ be-intihā chāhtā huuñ
kahāñ hai tirī barq-e-josh-e-tajallī
ki maiñ sāz-o-barg-e-fanā chāhtā huuñ
vo jab kho chuke mujh ko hastī se apnī
to kahte haiñ ab maiñ milā chāhtā huuñ
junūn-e-mohabbat meñ pand-e-adū kyā
bhalā maiñ kisī kā burā chāhtā huuñ
tabī.at kī mushkil-pasandī to dekho
hasīnoñ se tark-e-vafā chāhtā huuñ
jo dil maiñ ne chāhā to kyā ḳhaak chāhā
ki dil bhī to be-mudda.ā chāhtā huuñ
ye hasrat kī lazzat ye zauq-e-tamannā
shab-e-vasl un se hayā chāhtā huuñ
sivā is ke maiñ kyā kahūñ tum se 'āsī'
ki darvesh ho tum duā chāhtā huuñ
Top Urdushayar.com