saare aalam meñ terī ḳhushbū hai
ai mere rashk-e-gul kahāñ tū hai
barchhī thī vo nigāh dekho to
lahū āñkhoñ meñ hai ki aañsū hai
ek dam meñ hazār daftar tai
chashm-e-hasrat ġhazab suḳhan-go hai
tū hī tū aur baal baal apnā
fāḳhta aur shor-e-kū-kū hai
tujh ko dekhe phir aap meñ rah jaa.e
dil par itnā kisī ko qaabū hai
josh-e-ashk o tasavvur-e-qad-e-yār
sarv goyā khaḌā lab-e-jū hai
had na pūchho hamārī vahshat kī
dil meñ har daaġh chashm-e-āhū hai
jis ne momin banā liyā ham ko
vo tumhārā hī mus.haf-e-rū hai
jis ke kushte haiñ zinda-e-jāved
vo tumhārī hī teġh-e-abrū hai
dil jo be-mudda.ā ho kyā kahnā
yahī vīrāna ālam-e-hū hai
pul bhī hai faḳhr-e-jaunpur 'āsī'
ḳhvāb-gāh-e-janāb-e-sheḳhū hai