Mohammad Aslam Khan Aslam

ye ghar sajaya hai tumne janab kis ke liye

Mohammad Aslam Khan Aslam

ye ghar sajāyā hai tum ne janāb kis ke liye
ye ḳhaar kis ke liye haiñ gulāb kis ke liye
agar hai pyaas bujhānī to justujū bhī karo
bachā ke kis ne rakhī hai sharāb kis ke liye
kitāb-e-zīst ko yakjā karūñ to kaise karūñ
ye baab kis ke liye hai vo baab kis ke liye
jahāñ meñ koī bhī ahl-e-nazar nahīñ miltā
agar karūñ bhī to chehra kitāb kis ke liye
savāl aaj bhī ye lā-javāb hai 'aslam'
huā hai dil mirā ḳhāna-ḳharāb kis ke liye
Top Urdushayar.com