junūn-e-shauq meñ mahv-e-tamāshā ho ga.e ham tum
mohabbat rañg laa.ī ḳhuub rusvā ho ga.e ham tum
koī monis na hamdam hai na koī rāz-dāñ apnā
hujūm-e-shauq ke saa.e meñ tanhā ho ga.e ham tum
añdheroñ meñ bhaTaktī hai javānī raushnī kaisī
ye kyā manzil hai mahrūm-e-tamannā ho ga.e ham tum
parastār-e-vafā koī nahīñ bāzār-e-ulfat meñ
ḳharīdārī nahīñ jis kī vo saudā ho ga.e ham tum
azal se qismat-e-ādam mohabbat se hai vābasta
jahāñ meñ kis liye phir aah rusvā ho ga.e ham tum
chale the do qadam jab bhī kabhī anjām rāhoñ par
hasīn-o-gul-fishāñ rāhoñ pe shaidā ho ga.e ham tum
surūr-o-kaif ke aalam meñ apnī hosh kho baiThe
'nazar' kī choT khā kar mahv-e-jalvā ho ga.e ham tum