ġham kā hāmil na kuchh ḳhushī kā hai
dil giraftār āshiqī kā hai
husn aur mā.il-e-karam tauba
ye muqaddar kisī kisī kā hai
koī luuTā gayā sar-e-manzil
tazkira har jagah usī kā hai
vo nazar bhar ke dekhtā hī nahīñ
aks dil meñ magar usī kā hai
maut se to mafar nahīñ hargiz
asl mātam to zindagī kā hai
niiñd āñkhoñ se shauq se jaa.e
rañj furqat meñ bekalī kā hai
vo 'nazar' ko bachā ke jaate haiñ
vāqi.a ye abhī abhī kā hai