Nazar Barni

na humne aankh laDai na KHwab mein dekha

Nazar Barni

na ham ne aañkh laḌā.ī na ḳhvāb meñ dekhā
magar tumheñ dil-e-ḳhāna-ḳharāb meñ dekhā
taḌap taḌap ke tire āstāñ pe le aayā
baḌā asar dil-e-pur-iztirāb meñ dekhā
kabhī nigāh-e-karam hai kabhī itaab kī lahar
ajiib lutf tire pech-o-tāb meñ dekhā
baḌe ḳhulūs kī bātoñ ke ba.ad shart-e-vafā
tirā ġhurūr bhī ḳhat ke javāb meñ dekhā
nazar milāte hī ġham ho ga.e havās 'nazar'
ḳhumār aañkh se chhalkī sharāb meñ dekhā
Top Urdushayar.com