be-zabānī zabān hotī hai
ishq kī dāstān hotī hai
dil ko aayā hai phir kisī kā ḳhayāl
phir tamannā javān hotī hai
kaun pā.egā tāb-e-nazzāra
un kī abrū kamān hotī hai
kyā huā lab agar nahīñ hilte
aañkh ḳhud ik zabān hotī hai
jis ko kahte haiñ zindagī sab log
hasratoñ kā jahāñ hotī hai
un kā jalva huā hai pesh-e-nazar
justujū kāmrān hotī hai