letā huuñ terā naam har ik naam se pahle
kuchh zikr nahīñ kartā huuñ us kaam se pahle
manzil kī sa.ūbat kabhī āzār na hogī
maiñ naam tirā letā huuñ har gaam se pahle
hai ishq kā āġhāz hī anjām kā hāsil
anjām nazar aatā hai anjām se pahle
maiñ ḳhud hī chalā jā.ūñgā maiḳhāne se uTh kar
saaqī se jo laḌ jaa.e nazar jaam se pahle
rindadan-e-balā-nosh kī hai baat hī kuchh aur
mai piite nahīñ shaiḳh kabhī shaam se pahle
vahshat meñ zamāna mujhe badnām na kartā
ho jaatā rafū chaak jo ilzām se pahle
kahte haiñ vahī aap jo kahtā hai zamāna
kuchh aur bhī kah lījiye badnām se pahle
ye un kī ināyat se mirā haal huā hai
kuchh vaar atā karte haiñ in.aam se pahle
kahtā huuñ ġhazal un ke tasavvur meñ 'nazar' jab
aalam hī ajab hotā hai ilhām se pahle