Nazar Barni

apne ashkon ki ye barsat kise pesh karun

Nazar Barni

apne ashkoñ kī ye barsāt kise pesh karūñ
shab-e-furqat kī ye sauġhāt kise pesh karūñ
ġham-e-daurāñ kī shikāyat ġham-e-jānāñ kā gilā
uf ye pechīda ḳhayālāt kise pesh karūñ
kaun pūchhegā mire hāl-e-fasurda kā mizāj
ġham-e-daurāñ kī hikāyāt kise pesh karūñ
ziist ko talḳh banāte haiñ jo har-dam merī
uljhe uljhe vo savālāt kise pesh karūñ
muntashir ho gayā shīrāza-e-ulfat afsos
dil ke bikhre hue zarrāt kise pesh karūñ
ġham kī tash.hīr se ho jaatī hai tauhīn-e-vafā
is aziyyat ke hisābāt kise pesh karūñ
chun ke ash.ār ġhazal ke maiñ sunā.ūñ kis ko
dil se umDe hue naġhmāt kise pesh karūñ
aaj bhī vo to nazar aate haiñ mā.il-ba-sitam
aur phir shauq ke jazbāt kise pesh karūñ
Top Urdushayar.com