furqat kā fusūñ phail gayā shaam se pahle
anjām nazar aatā hai anjām se pahle
ham jaur-o-sitam sah ke bhī shikva nahīñ karte
aur morid-e-ilzām haiñ ilzām se pahle
is vāste siine se lagāyā hai tirā ġham
miltī nahīñ rāhat kabhī ālām se pahle
ai dost gavārā hai mujhe ishq meñ sab kuchh
kuchh aur bhī kah lījiye badnām se pahle
taslīm hai rusvā.ī sabab is kā huā kaun
āñkhoñ meñ namī aa.ī tire naam se pahle
kho baiThā huuñ sab hosh-o-ḳhirad ek nazar meñ
aisā hī ḳhumār aayā mujhe jaam se pahle
dīdār ke tālib the 'nazar' ho ga.e mahrūm
dīvār thī ashkoñ kī dar-o-bām se pahle