Nazar Barni

zaban par shikwa-e-dar-o-rasan laya nahin jata

Nazar Barni

zabāñ par shikva-e-dār-o-rasan laayā nahīñ jaatā
jo apnā haal hai duniyā ko dikhlāyā nahīñ jaatā
baḌī mushkil se miltā hai junūn-e-āshiqī yaaro
jise pā kar ḳhirad kī god meñ jaayā nahīñ jaatā
razā-e-dost meñ kuchh īñ-o-āñ baaqī nahīñ rahtā
mohabbat kā koī farmān Thukrāyā nahīñ jaatā
kisī se zilm-e-be-jā kī shikāyat ho to kyūñkar ho
sitam ye hai ki apnā dil bhī apnāyā nahīñ jaatā
jafā-pesha hasīnoñ se vafā kī kyā tavaqqo hai
magar dil ko kisī unvān samjhāyā nahīñ jaatā
ḳhirad kī baat se aage ta.ayyun se bahut baalā
tasavvur aap kar bhī leñ to vo aayā nahīñ jaatā
hazāroñ baar muusā tuur par jaa.eñ to kyā hāsil
ye vo jalva hai jo har baar dikhlāyā nahīñ jaatā
vahāñ pahuñchā ḳhudā kā ek banda ān-e-vāhid meñ
jahāñ insān kyā insān kā saayā nahīñ jaatā
'nazar' kī ek jumbish par matā-e-hosh luTtī hai
jo is manzil meñ khoyā hai use paayā nahīñ jaatā
Top Urdushayar.com