ab hastī-e-ḳharāb kā aalam sañvar gayā
ik nashsha-e-shabāb thā sar se utar gayā
guzrā huuñ rāh-e-ishq meñ manzil se be-niyāz
āvāz un kī paa.ī jahāñ bhī Thahar gayā
muḌ muḌ ke dekhte haiñ mujhe rahguzar pe log
maiñ dekhtā huuñ zo.am-e-mohabbat kidhar gayā
qadmoñ ko us ke chhūtā hai ḳhud maqsad-e-hayāt
jo manzil-e-nashāt kī had se guzar gayā
anjām-e-ishq dekh rahā huuñ 'nazar' se aaj
maiñ be-ḳhudī meñ apne hī saa.e se Dar gayā