ishq kī dāstān kyā kahiye
ḳhāmushī hai zabān kyā kahiye
ek dil par hazār ilzāmāt
sabr kā imtihān kyā kahiye
tīr-o-nashtar kī baat hī kyā hai
hoñ jo abrū kamān kyā kahiye
dekh kar ik jamāl-e-ra.anā.ī
aarzū hai javān kyā kahiye
sheva-e-husn bevafā.ī hai
aap se mehrbān kyā kahiye
manzil-e-ishq hai kaThin yaaro
shauq kā imtihān kyā kahiye
fitrat-e-husn hai bahut bebāk
ishq hai be-zabān kyā kahiye
hai za.īm-e-jahān-e-sher-o-adab
ḳhizr kā ḳhāndān kyā kahiye
sādgī bhī hai aur nudrat bhī
ye 'nazar' kī zabān kyā kahiye