Nazar Barni

tumko nahin hai yaad abhi kal ki baat hai

Nazar Barni

tum ko nahīñ hai yaad abhī kal baat hai

bāham thā ittihād abhī kal baat hai

manzil thī ek jis pe baham gāmzan rahe

bilkul na thā tazād abhī kal baat hai

ik raushnī thī dil meñ bahut pāk-o-sāf the

aisā na thā inaad abhī kal baat hai

buniyād ḳhud aap ne rakkhī nifāq

shīr-o-shakar the shaad abhī kal baat hai

sehn-e-chaman meñ apne 'nazar' thī ajab bahār

thā daur-e-abr-o-bād abhī kal baat hai

Top Urdushayar.com