Nazar Barni

aankhon ko ashk-bar kiya kya bura kiya

Nazar Barni

āñkhoñ ko ashk-bār kiyā kyā burā kiyā
yuuñ ġham ko āshkār kiyā kyā burā kiyā
ik umr intizār kiyā kyā burā kiyā
va.ade kā e'tibār kiyā kyā burā kiyā
jab vasl-e-yār ziist kā unvāñ na ban sakā
ġham ko gale kā haar kiyā kyā burā kiyā
sehn-e-chaman meñ dhuum hai fasl-e-bahār kī
dāman ko taar taar kiyā kyā burā kiyā
aish-o-nishāt se rahe mahrūm umr-bhar
tanhā.iyoñ se pyaar kiyā kyā burā kiyā
ham ne kisī ke husn-e-tabassum ko dekh kar
qalb-o-jigar nisār kiyā kyā burā kiyā
dil lūTne ke ba.ad 'nazar' kah rahe haiñ vo
haañ ham ne be-qarār kiyā kyā burā kiyā
Top Urdushayar.com