ajab ik vaqt gulshan meñ ye paiġhām-e-bahār aayā
fazā hī sāzgār aa.ī na mausam sāzgār aayā
sunā.ūñ kyā maiñ apnī dāstān-e-ġham tujhe hamdam
vo aayā apnī mahfil meñ magar begāna-vār aayā
tabassum ne kisī ke ruuh phūñkī gulsitānoñ meñ
shagūfoñ ko javānī kā yaqīn-o-e'tibār aayā
usī ko log kahte haiñ surūr-o-kaif kā aalam
surāhī ḳhatm ho jaane pe halkā sā ḳhumār aayā
ajab ik mahviyat thī log dīvāna samajhte the
tire kūche meñ kuchh din is tarah maiñ bhī guzār aayā
karo ai ham-safīro ehtimām-e-jashn-e-āzādī
ḳhizāñ ruḳhsat huī lo jhuum kar abr-e-bahār aayā
'nazar' ne ḳhud bhī dekhā hai jamāl-e-yār kā aalam
jo un ke rū-ba-rū pahuñchā vahī kuchh be-qarār aayā