Qadr Bilgrami

baDe nazon se dil mein jalwa-e-jaanana aata hai

Qadr Bilgrami

Bilgram, Uttar pradesh, India

1883-1894
baḌe nāzoñ se dil meñ jalva-e-jānāna aatā hai
ye ghar jis ne banāyā hai vo vo sāhab-ḳhāna aatā hai
ḳhudā ke vāste muñh se lagā de ḳhum ke ḳhum saaqī
baḌā ghanghor bādal jānib-e-mai-ḳhāna aatā hai
nikal jaatā hai muñh se naam un kā bātoñ bātoñ meñ
zabāñ par jo na aanā thā vo betābāna aatā hai
nikaltī hai kisī par jhuum kar vo mujh pe girtī hai
tumhārī teġh ko kyā sheva-e-mastāna aatā hai
bahār āḳhir huī hai 'qadr' kī turbat pe melā hai
yahāñ beḌī baḌhāne ko har ik dīvāna aatā hai
Top Urdushayar.com