huī hai ham meñ aur is gul meñ kyā kyā maar phūloñ kī
gale tak uTh ga.ī gulzār meñ dīvār phūloñ kī
bahār aa.ī hai gulshan ne qabā-e-sabz badlī hai
javānān-e-chaman ke sar pe hai dastār phūloñ kī
chaman meñ āj-kal us zor se paanī barastā hai
huī hai bulbuloñ par har taraf bauchhār phūloñ kī
bike haiñ kauḌiyoñ ke mol da.avā kar ke us gul se
ga.ī hai aabrū kyā kyā sar-e-bāzār phūloñ kī
rasā.ī 'qadr' kī kyuuñ kar na ho is bazm-e-rañgīñ meñ
chaman meñ rakhte haiñ sohbat hamesha ḳhaar phūloñ kī