Qadr Bilgrami

hue karwan se juda jo hum rah-e-ashiqi mein fana hue

Qadr Bilgrami

Bilgram, Uttar pradesh, India

1883-1894
hue kārvāñ se judā jo ham rah-e-āshiqī meñ fanā hue
jo gire to naqsh-e-qadam bane jo uThe to bāñg-e-darā hue
jo havā se zulf bikhar ga.ī nazar un kī saaf badal ga.ī
jo asīr-e-halqa-e-nāz the vo qatīl-e-teġh-e-adā hue
huā ba.ad-e-vasl ajab mazā ki ḳhamosh baiThe judā judā
hama-tan maiñ sabr-o-sukūñ huā hama-tan vo sharm-o-hayā hue
uThe ham jo ḳhvāb-o-ḳhayāl hai lage takne dīda-e-hāl se
ki vo kab uThe vo kidhar ga.e abhī paas the abhī kyā hue
jo nigah hai chashm-e-siyāh meñ vahī barq-e-tūr hai raah meñ
tirī aañkh par jo fidā hue vo shahīd-e-rāh-e-ḳhudā hue
bane 'qadr' aise ġhubār ham hue gardishoñ meñ vo ḳhaar ham
ki misāl-e-dā.era-e-falak jo uThe to be-sar-o-pā hue
Top Urdushayar.com