hue kārvāñ se judā jo ham rah-e-āshiqī meñ fanā hue
jo gire to naqsh-e-qadam bane jo uThe to bāñg-e-darā hue
kabhī daaġh khāte hī aah kī kahīñ aah karte hī ro diye
kabhī ham chaman kī havā hue kabhī ham havā kī ghaTā hue
jo havā-e-dard bikhar ga.ī nazar un kī saaf badal ga.ī
jo asīr-e-halqa--nāz the vo qatīl-e-teġh-e-adā hue
hama-tan kabhī hue dard-o-ġham hama-tan kabhī hue sabr ham
kabhī aap apnā maraz hue kabhī aap apnī davā hue
huā ba.ad-e-vasl ajab mazā ki ḳhamosh baiThe judā judā
hama-tan maiñ sabr-o-sukūñ huā hama-tan-o-sharm-o-hayā hue
uThe ham jo ḳhvāb-o-ḳhayāl se lage takne dīda-e-jāl se
ki vo kab uThe vo kidhar ga.e abhī paas the abhī kyā hue
ye qadam qadam pe jameñge paañv ki baḌh sakoge na aage tum
ho tumhāre kūche kī ḳhaak meñ kahīñ dafn ahl-e-vafā hue