Qadr Bilgrami

shab-e-gham mein chhai ghaTa kali kali

Qadr Bilgrami

Bilgram, Uttar pradesh, India

1883-1894
shab-e-ġham meñ chhā.ī ghaTā kaalī kaalī
jhukī hai balā par balā kaalī kaalī
bahut aise kaale hiran ham ne dekhe
dikhāte haiñ āñkheñ vo kyā kaalī kaalī
DaTe mil ke riñd-e-siyah-mast jis dam
jhukī mai-kade par ghaTā kaalī kaalī
shab-e-māh meñ vo phire baal khole
huī chāñdnī jā-ba-jā kaalī kaalī
ye sajde ko ḳhud jhuk paḌegī chaman par
ki qible se uTThī ghaTā kaalī kaalī
khulī sab par āḳhir tirī garm-dastī
huī kholte hī hinā kā kaalī kaalī
luñDhā de mai-e-surḳh tū ab to saaqī
ghaTā uTThī hai dekh kyā kaalī kaalī
mire ka.aba-e-dil ke miTne kā ġham hai
jo oḌhe hai ka.aba sabā kaalī kaalī
hue haiñ siyah-baḳht barbād lākhoñ
uThīñ āñdhiyāñ bārhā kaalī kaalī
buḳhārāt dil-e-āh par chhā ga.e haiñ
ghaTā hai ba-rū-e-havā kaalī kaalī
maiñ dekhūñgā muñh un kā de kar ye fiqra
tirī shakl hai mah-laqā kaalī kaalī
siyah nama-e-'qadr' mahshar meñ niklā
uThī dhuup meñ ik ghaTā kaalī kaalī
Top Urdushayar.com