jo hai arsh par vahī farsh par koī ḳhaas us kā makāñ nahīñ
vo yahāñ bhī hai vo vahāñ bhī hai vo kahīñ nahīñ vo kahāñ nahīñ
ye nasīb tere shahīd kā ki kamāl-e-shauq thā diid kā
jo gilā bhī hai to vo tar nahīñ jo chhurī bhī har to ravāñ nahīñ
maiñ vo sarv-e-bāġh-e-vajūd huuñ maiñ vo gul huuñ sham-e-hayāt kā
jise fasl-e-gul kī ḳhushī nahīñ jise rañj-e-bād-e-ḳhizāñ nahīñ
jo uThe to siina ubhār kar jo chale to Thokareñ maar kar
na.e aap hī to javān haiñ koī kyā jahāñ meñ javāñ nahīñ
kidhar uḌ gayā mirā qāfila ki zamīn phaT ke samā gayā
na ġhubār uThā na jaras bajā kahīñ naqsh-e-pā kā nishāñ nahīñ
ye mai-e-farñg kī kashtiyāñ bhī safīna-hā-e-najāt haiñ
kabhī us kā beḌā na paar ho jo murīd-e-pīr-e-muġhāñ nahīñ
uTho 'qadr' un pe na jaan do ajī jaan hai to jahān hai
koī kaam aisā bhī kartā hai are miyāñ nahīñ are miyāñ nahīñ