ho gayā abrū kī saffākī se shohrā yaar kā
kaam kar jaa.e sipāhī naam ho sardār kā
kūcha-e-shah-rag se kyā terā mahal nazdīk hai
dam gale meñ aa ke aTkā hai tire bīmār kā
misl-e-īsā un kī ḳhidmat meñ rasā.ī ho ga.ī
paḌh ga.e koThe pe ham ziina lagā kirdār kā
raat ko āñkhoñ ke nīche phir ga.ī tasvīr-e-yār
vaah kyā chamkā sitāra dīda-e-bedār kā
'qadr' kyā islāh-e-'ġhālib' se mirī shohrat huī
vo masal hai baaḌh kaaTe naam ho talvār kā