Qadr Bilgrami

jo uzw-e-baatin KHuda banata to hum dil-e-be-qarar hote

Qadr Bilgrami

Bilgram, Uttar pradesh, India

1883-1894
jo uzv-e-bātin ḳhudā banātā to ham dil-e-be-qarār hote
jo uzv-e-zāhir ḳhudā banātā to dīda-e-ashk-bār hote
jo gard kar ke ḳhudā uḌātā to uḌte gard-e-malāl ho kar
jo sañg kar ke ḳhudā jamātā to jam ke lauh-e-mazār hote
ḳhudā jo shāna hameñ banātā to ham ḳhalish hote apne dil kī
ḳhudā jo ā.īna ham ko kartā to apne hairān-kār hote
jo roz ham ko ḳhudā banātā to bante roz-e-firāq-e-jānāñ
jo raat ham ko ḳhudā banātā to ham shab-e-intizār hote
ġharaz ki aisā musībatoñ kā hamāre dil ko mazā paḌā hai
ki 'qadr' ham ko ḳhudā banātā to ho ke be-qadr ḳhvār hote
Top Urdushayar.com