paḌ ga.ī aap par nazar hī to hai
ik ḳhatā ho ga.ī bashar hī to hai
itnā bhārī na Dāliye mūbāf
bal na khaa.e kahīñ kamar hī to hai
merī aahoñ se un ke dil meñ asar
kabhī yuuñ bhī uḌe ḳhabar hī to hai
paañv phailā.e ham ne marqad meñ
chalte chalte thake safar hī to hai
'qadr' ne kyā zabān paa.ī hai
log kahte haiñ ye sahar hī to hai