gardan-e-shīsha jhukā de mire paimāne par
san barastā rahe saaqī tire maiḳhāne par
garmī-e-husn baḌhī sard huā āshiq-e-zār
sham.a ke phuul se bijlī girī parvāne par
garmiyāñ haiñ to mirā dīda-e-tar hāzir hai
chhoTe mizhgāñ kā hazārā tire ḳhas-ḳhāne par
ġhash huā gardan-e-sāqī pe kabhī aañkh pe luuT
kabhī shīsha pe girā maiñ kabhī paimāne par
vo bhī ai 'qadr' thā ik naqsh-e-qadam haidar kā
rakhte the mohr-e-nabuvvat jo nabī shāne par