Shahjahan Bano Yaad

kabhi qalam kabhi nezon pe sar uchhalte hain

Shahjahan Bano Yaad

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1937
kabhī qalam kabhī nezoñ pe sar uchhalte haiñ
ab is fasīl se sūraj kahāñ nikalte haiñ
gharoñ se be-sabab apne kahāñ nikalte haiñ
zarūratoñ ke ishāroñ pe log chalte haiñ
añdherā un ke gharoñ kā bahut bhayānak hai
tamām shahr meñ jin ke charāġh jalte haiñ
havā ke jhoñke haiñ tere payāmbar lekin
havā ke jhoñke hī chehroñ pe ḳhaak malte haiñ
badal bhī jaa.e agar vo to ham na badleñge
nazar ke saath nazāre kahāñ badalte haiñ
vahāñ ke sar-phire dariyāoñ kā ḳhudā-hāfiz
pahāḌ aag bahut kam jahāñ ugalte haiñ
usī ke naġhmoñ se jhūmegī kā.enāt ai 'yād'
vo jis ke sāmne āhan-sifat pighalte haiñ
Top Urdushayar.com