Shahjahan Bano Yaad

jab bhi mere aansu bahte hain aur tera daman jalta hai

Shahjahan Bano Yaad

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1937
jab bhī mire aañsū bahte haiñ aur terā dāman jaltā hai
dekh ke apnā husn-e-ta.alluq har ahl-e-gulshan jaltā hai
raaz na pūchho mustaqbil kā sher-o-suḳhan kī is mahfil kā
sāhab-e-fan zulmat meñ paḌe haiñ duur charāġh-e-fan jaltā hai
fasl-e-bahārāñ aa jaane se kam na huā ġham ahl-e-chaman kā
shabnam ke aañsū bahte haiñ gul kā pairāhan jaltā hai
jalne ko to sab jalte haiñ aag judā hai apnī apnī
ham jalte haiñ tum jalte ho ik ik ahl-e-chaman jaltā hai
koī nahīñ ġham-ḳhvār jahāñ meñ 'yād' hamārī tanhā.ī kā
apne hī aañsū bahte haiñ apnā hī dāman jaltā hai
Top Urdushayar.com