Shahjahan Bano Yaad

aql-o-dil ko mila-jula rakhiye

Shahjahan Bano Yaad

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1937
aql-o-dil ko milā-julā rakhiye
zābte meñ bhī rābta rakhiye
dūsrā shahr dūsre sāthī
dil bhī siine meñ dūsrā rakhiye
band kar liije dar sab āñkhoñ ke
zehn apnā magar khulā rakhiye
itne patthar na pheñkiye sāhab
vāpsī kā to rāsta rakhiye
kuchh bhī jiine kī aarzū hai agar
jaan dene kā hausla rakhiye
din sadā ek se nahīñ rahte
raat aa.egī kuchh bachā rakhiye
jo hamāre hue na apne 'yād'
aise logoñ ko yaad kyā rakhiye
Top Urdushayar.com