Priya Tabita

ek yahi wasf hai isMein jo amar lagta hai

Priya Tabita

ik yahī vasf hai is meñ jo amar lagtā hai
vo kaḌī dhuup meñ bargad kā shajar lagtā hai
yuuñ to chāhat meñ nihāñ june kī hiddat hai magar
sard lahje meñ december kā asar lagtā hai
jab se jaanā ki vo ham-shahr hai merā tab se
shahr-e-lahore bhī jaadū kā nagar lagtā hai
jaane kab gardish-e-ayyām badal Daale tujhe
jiit kar tujh ko mujhe haar se Dar lagtā hai
chāhe kitnī hī sajāvaT se muzayyan ho magar
maañ nazar aa.e to ghar asl meñ ghar lagtā hai
is qadar us kī nigāhoñ meñ taqaddus hai nihāñ
sar jhukātī huuñ to pīpal kā shajar lagtā hai
Top Urdushayar.com