Vishvanath Dard

hain kis liye udas koi puchhta nahin

Vishvanath Dard

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1924-2015
haiñ kis liye udaas koī pūchhtā nahīñ
rasta ḳhud apne ghar kā hameñ sūjhtā nahīñ
naqsh-e-vafā kisī kā koī DhūñDhtā nahīñ
ahl-e-vafā kā phir bhī bharam TūTtā nahīñ
ahl-e-hunar kī baat thī ahl-e-nazar ke saath
ab to koī bhī un kī taraf dekhtā nahīñ
ham se huī ḳhatā to burā mānte ho kyuuñ
ham bhī to aadmī haiñ koī devtā nahīñ
dāman tumhārā haath se jaatā rahā magar
ik rishta-e-ḳhayāl hai ki TūTtā nahīñ
sūraj ke nuur par bhī añdheroñ kā raaj hai
ai 'dard' duur tak mujhe kuchh sūjhtā nahīñ
Top Urdushayar.com