Vishvanath Dard

humne ghaTta-baDhta saya pag-pag chal kar dekha hai

Vishvanath Dard

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1924-2015
ham ne ghaTtā-baḌhtā saayā pag-pag chal kar dekhā hai
har raahī ik dhundlā-pan hai har jaada ik dhokā hai
ham bhī kisī lamhe kī uñglī thaam ke ik din chal deñge
tū ne to ai jaane vaale jaane ko kyā jaanā hai
maazī kī be-nām guphā meñ baiThe baiThe sochte haiñ
nagar-nagar hai shohrat apnī ghar-ghar apnā charchā hai
ham tum donoñ dost purāne sadiyoñ kī majbūrī ke
is se baḌh kar tum hī bolo aur bhī koī rishta hai
aate jaate har raahī se pūchh rahā huuñ barsoñ se
naam hamārā le kar tum se haal kisī ne pūchhā hai
ḳhud ko paane kī chintā ne gyaan jagāyā duurī kā
ghar apnā hai shahr parāyā biich meñ lambā rastā hai
Top Urdushayar.com