Vishvanath Dard

ab hum charagh ban ke sar-e-rah jal uThe

Vishvanath Dard

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1924-2015
ab ham charāġh ban ke sar-e-rāh jal uThe
dekheñ to kis tarah se bhaTakte haiñ qāfile
jo muntazir the baat ke muñh dekhte rahe
ḳhāmosh rah ke ham to baḌī baat kah ga.e
kab manziloñ ne chūme qadam un ke hamdamo
har raah roke saath jo rah-gīr chal paḌe
jaane zabāñ kī baat thī yā rañg ruup kī
ham aap apne shahr meñ jo ajnabī rahe
vo log ḳhush-nasīb the apnī nigāh meñ
jo har kisī ke shauq kī ḳhud dāstāñ bane
ma.alūm jin kā nām-o-nishāñ bhī nahīñ hameñ
ham un kā shahr shahr pata pūchhte phire
kahne ko ik jahāñ se ulajhte rahe magar
ai dard apne saa.e se Dar Dar ke ham jiye
Top Urdushayar.com