jaane kitnā jīvan pīchhe chhūT gayā anjāne meñ
ab to kuchh qatre haiñ baaqī sāñsoñ ke paimāne meñ
apnī pyaas liye hoñToñ par lauT aa.e maiḳhāne meñ
kitne tishna-lab baiThe the pahle hī maiḳhāne meñ
kyā kyā ruup liye rishtoñ ne kaise kaise rañg bhare
ab to farq nahīñ kuchh lagtā apne aur begāne meñ
jazboñ kī mismār imārat yādoñ ke be-jān khañDar
jaane kyuuñ baiThe haiñ tanhā ham aise vīrāne meñ
is bastī meñ aa kar ham ne kuchh aisā dastūr sunā
aql kī bāteñ karne vaale hoñge pāgal-ḳhāne meñ
itnā jaan liyā to yaaro kaisī bandish unvāñ kī
apnā apnā rañg bharegā har koī afsāne meñ
takmīl-o-taḳhlīq kā lamha bhārī hai in sadiyoñ par
jo ābād nagar kī qismat likh Dālīñ vīrāne meñ